kis se hun dad-KHwah koi dadras nahin

kis se hun dad-khwah koi dadras nahin
wo kushtani hun main ki kisi ko taras nahin

zahid kisi visal-e-sanam ki hawas nahin
patthar ka but hai tu ki tujhe hiss-o-mas nahin

wo na-tawan hun ki mere dil ko hai yaqin
aandhi ki jhonke chalte hain baad-e-nafas nahin

jab tak ki tum na aaoge ragdunga ediyan
main bhi hun sakht-jaan jo tum ko taras nahin

zabt-e-fughan se uzw-e-badan ghul chale tamam
main karwan-e-reg-e-rawan hun jaras nahin

duniya ki neamaton se ye seri hai ruh ko
bosa bhi yar de to kahun main hawas nahin

kuchh to hamari rone mein takhfif ho gai
barish jo agle sal thi ab ki baras nahin

parwana-o-charagh par aata hai mujh ko rashk
kis tarah tum se ud ke lipat jaun bas nahin

ai shahsawar us ka chamakna dalil hai
aahu-e-khawari hai ye tera faras nahin

hum mai-kashon ki bazm mein hai be-takallufi
kuchh dana-ha-e-subha-sifat pesh-o-pas nahin

betabiyan yahi hain to ek din najat hai
sayyaad ya to main hi nahin ya qafas nahin

apne liye hai marg gulon ki mafariqat
hai gumbad-e-mazar hamara qafas nahin

ai 'bahr' is maqam par atka hai ja ke dil
pa-e-khayal ki bhi jahan dastaras nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close