zindagi ke daman mein rang-o-nur-o-nikhat kya khwab hi to dekha hai khwab ki haqiqat kya dil bhi qufl-e-abjad hai ek nam puchhe hai jaan le to khul jae aakhir is mein hairat kya aap ke rawayya par khush-gumaniyan kaisi koi maslahat hogi warna ye inayat kya chob-e-khushk sahra hun aur aarzu gul ki sadgi se badh kar bhi hai koi himaqat kya pas ka andhera bhi aas ka ujala bhi log isi ko kahte hain jhutpute ki saat kya