mujh pe har ek raaz-e-bahr-o-bar khula did-e-pas-manzar se har manzar khula jab samajh aaya mujhe la-taqnatu kaamrani ka muqaffal dar khula tha adam ki tah mein hasti ka suragh mar gae jab uqda mushkil-tar khula wusat-e-gardun bhi mujh ko kuchh na thi jab bulandi par mera shah-par khula haalat-e-dil na chhupai ja saki raaz-e-pinhan tujh se chashm-e-tar khula jab bisat-e-dil ulat di waqt ne tab kahin ja kar wo fitna-gar khula intizar-e-yar 'naghmi' iztirab hum ne darwaza rakha shab bhar khula