kis se puchhun ki khandar sa ye badan kis ka hai koi mausam nahin jis mein ye chaman kis ka hai kuchh nahin farsh se ta-arsh ba-juz mauj-e-ghubar ye bayaban-e-shab-o-roz watan kis ka hai jhelte rahiye yahan rifat-o-pasti ka azab ye zamin kis ki hai ye charkh-e-kuhan kis ka hai barish-e-sang-e-malamat se hai reza reza nahin mera to ye aaina-e-fan kis ka hai ho chuke maskh mere apne khad-o-khal tamam 'ramz' ye chehra-e-be-dagh-o-shikan kis ka hai