subh-e-wasl-e-khwab hai ajmal kisi mahbub chehre ki tarah shahr ke sare manazir hain kisi andar ke jazbe ki tarah tairti hain khun ke behr-e-qayamat mein faqat qurbaniyan ai dil-e-be-tab zahir ho kisi raushan jazire ki tarah hairat-e-ta۔bir se bahar nikal ai sabz khwabon ki zamin apni aankhon mein bichha khud ko kisi hamraaz khitte ki tarah qarya-e-ishq-e-mohammad mein nigah-e-khak se dekhe koi zarra zarra ho ke bikhra hun kisi aabaad raste ki tarah waqt us ke nam se mansub ho kar be-aman hai aaj-kal zindagi aks-e-tamanna mein kisi sachche zamane ki tarah