kis shahr na shohra hua nadani-e-dil ka kis par na khula raaz pareshani-e-dil ka aao karen mahfil pe zar-e-zakhm numayan charcha hai bahut be-sar-o-samani-e-dil ka dekh aaen chalo ku-e-nigaran ka kharaba shayad koi mahram mile virani-e-dil ka puchho to udhar tir-fagan kaun hai yaro saunpa tha jise kaam nigahbani-e-dil ka dekho to kidhar aaj rukh-e-baad-e-saba hai kis rah se payam aaya hai zindani-e-dil ka utre the kabhi 'faiz' wo aaina-e-dil mein aalam hai wahi aaj bhi hairani-e-dil ka