meri nazar mein dosto jis shahr ke gulzar hain

meri nazar mein dosto jis shahr ke gulzar hain
sabza bada sarkash hai wan aur sard khush-raftar hain

shakhen hain wan aarasta aur gul hain wan nau-khasta
pyale hain jin ke madh-bhare aur pairahan zar-kar hain

har har qadam par khub-ru aaram-e-jaan aur kaam-ju
aankhon mein ghunchon ki chatak chehre ghazab gulnar hain

jitne ye kam-amez hain itne hi shauq-angez hain
zahir mein jitne sakht hain itne hi kam-azar hain

un ki nigah ka saiqa karta hai kar-e-laiqa
chakkhen jo us ka zaiqa saton samundar par hain

harf-e-ghalat din-e-kuhan sare hijabaat-e-badan
aazad hain sab mard-o-zan sab aadmi sab yar hain

jage hue hain mai-kade har kufr-o-iman se pare
bikhri hui tasbih hai tute hue zunnar hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close