qahr hua ghazab hua shor hai lala-zar mein aag lagi bahaar mein aag lagi bahaar mein apna maal-e-zindagi phulon ko dekh kar samajh aaj khizan-nasib hain kal jo khile bahaar mein dagh-e-jigar ke phul mein phul sada-bahaar ke rahta hai rang ek san in ka khizan bahaar mein is husn is shabab par naz-o-ghurur is qadar aaj hai aur kal nahin aap hain kis shumar mein mere gunah bhi bahut rahmat-e-kirdgar bhi ye bhi nahin shumar mein wo bhi nahin shumar mein kis ki ziya teri ziya kis ki jhalak teri jhalak anjum-o-mehr-o-mah mein barq mein nur-o-nar mein tadpen na hum to kya karen dekh kar us ko ek nigah hon bijliyan bhari hui jis chashm-e-sehr-kar mein yar-o-aziz-o-aqraba ka ye suluk baad-e-marg dosh-ba-dosh le chale chhodne mujh ko ghaar mein khal-o-rukh-e-habib ki jalwagari ke samne chand hai kis qatar mein tare hain kis shumar mein din shahid-e-naz ka kis kis jagah hai jalwa-rez kuchh hai shafaq mein aur kuchh shamil hai lala-zar mein apne gunah pe sharmsar dekh ke mujh ko roz-e-hashr rahmat-e-haq ne le liya 'sabir' mujhe kanar mein