kis tarah be-mauj aur khali rawani se hua be-khabar dariya kahan par apne pani se hua badh rahi thi ek basti se meri beganagi masala mera na hal naql-e-makani se hua apne hone ka mujhe khud hi diya us ne subut aashna us se usi ki ek nishani se hua kah raha tha wo ki kaise kat rahe the us ke din main girafta-dil bahut us ki kahani se hua ek jagah ki saf aur taza hawa achchhi lagi kuchh ilaj-e-dil wahan ke sada pani se hua kis qadar gham-khwar tha wo shahr aur hamdard log is ka kuchh andaza apni raegani se hua rut badal jaane se pila pad gaya farsh-e-chaman zard pedon ka badan barg-e-khizani se hua kar raha hun main zaban ko ek banawat se riha lafz zinda phir meri sada-bayani se hua mere us ke darmiyan jaise kabhi kuchh bhi na tha aisa 'shahin' bas zara si bad-gumani se hua