mujhe sahl ho gain manzilen wo hawa ke rukh bhi badal gae tera hath hath mein aa gaya ki charagh rah mein jal gae wo lajae mere sawal par ki utha sake na jhuka ke sar udi zulf chehre pe is tarah ki shabon ke raaz machal gae wahi baat jo wo na kah sake mere sher-o-naghma mein aa gai wahi lab na main jinhen chhu saka qadah-e-sharab mein dhal gae wahi aastan hai wahi jabin wahi ashk hai wahi aastin dil-e-zar tu bhi badal kahin ki jahan ke taur badal gae tujhe chashm-e-mast pata bhi hai ki shabab garmi-e-bazm hai tujhe chashm-e-mast khabar bhi hai ki sab aabgine pighal gae mere kaam aa gain aakhirash yahi kawishen yahi gardishen badhin is qadar meri manzilen ki qadam ke khar nikal gae