kya tere dil mein ai but hon dil-o-jaan mahfuz na koi din hai mahfuz na iman mahfuz band darwaze bhi us ke liye khul jate hain maut ke waste hai kakh na aiwan mahfuz chashm-e-kafir ne teri kho diye sab ke iman kya zamane mein rahe koi musalman mahfuz mausam-e-gul mein qasam hai tujhe ai dast-e-junun rahne pae na koi jaib-o-gareban mahfuz ashk kyon mahfil-e-aghyar mein barbaad kiye tere moti na rahe dida-e-giryan mahfuz mausam-e-gul mein hum ai baad-e-khizan samjhe the tere jhonkon se rahega na gulistan mahfuz un ke diwanon ki wahshat ka jo aalam hai yahi rahne paega na daman-e-bayaban mahfuz de gai baad-e-saba hum se pareshanon ko teri nighat na rahi gesu-e-jaanan mahfuz hum se diwane bhi aae hain khuda khair kare ai qayamat na rahega tera daman mahfuz ai khuda teri khudai mein ye kya kya karta maut ke khauf se hota agar insan mahfuz nam rah jaega 'naushad' jahan mein kuchh din baad mere jo rahega mera diwan mahfuz