kisa-e-darwesh mein jo bhi hai zar utna hi hai aur dekha jae to mujh ko khatar utna hi hai panw rakhne ke liye koi jagah to chahiye shahr ke is bab mein mera guzar utna hi hai main jahan pahuncha nahin aise bhi virane bata dost apna rishta-e-diwar-o-dar utna hi hai ek musht-e-khak ye aur wo hawa-e-tund-o-tez aur tera ehsan meri zat par utna hi hai is gali se us gali tak daudta rahta hun main raat utni hi mayassar hai safar utna hi hai