main jinhen fareb samjhun teri yaad-e-mehrban ke wo charagh bujh gae hain meri umr-e-jawedan ke na ye lala-zar apne na ye rahguzar apni wahi ghar zamin ke niche wahi khwab aasman ke ye piyala hai ki dil hai ye sharab hai ki jaan hai ye darakht hain ki sae kisi dast-e-mehrban ke mujhe yaad aa rahe hain wo charagh jin ke sae kabhi doston ke chehre kabhi dagh raftagan ke