mera aaghosh-e-nazar yaad aaya jalwa-e-dost ko ghar yaad aaya aankh hangama-e-mahshar mein khuli fitna-e-rahguzar yaad aaya ghairat-e-ishq bhi hathon se gai dil agar bar-e-digar yaad aaya ab milate nahin duniya se nazar koi gustakh-nazar yaad aaya aap ke dar pe mila sar apna sajda yaad aaya to sar yaad aaya hosh-e-hasti pe hua josh-e-karam dil idhar dard udhar yaad aaya aaj baithe hain wo shamshir-ba-kaf kis gunahgar ka sar yaad aaya 'najm' ye fikr hai nazr-e-'ghaalib' 'ghaalib'-e-khasta jigar yaad aaya