kise nadim kise ham-nawa kahen apna bitha ke pas kise muddaa kahen apna rah-e-hayat mein apne parayon se hat kar koi mile to use majra kahen apna ada-e-parda-nashini ki shan kahti hai wo but hai to bhi use hum khuda kahen apna qadam qadam pe na kyun ahl-e-karwan bhatken wo rahzan hai jise rahnuma kahen apna hamare pas thaharta hai ajnabi ki tarah rawish jab us ki ho aisi to kya kahen apna wo ru-ba-ru hai to hoti hai khud-shanasai jamal-e-yar ko hum aaina kahen apna tere suluk par ab ye sawal uthta hai tujhe paraya kahe jaen ya kahen apna 'rishi' hua to hai apne bhi haal ka pursan wo shakhs hum jise dard-ashna kahen apna