kisi bhi dasht kisi bhi nagar chala jata main apne sath hi rahta jidhar chala jata wo jis munder pe chhod aaya apni aankhen main charagh hota to lau bhul kar chala jata use bacha liya aawargan-e-sham ne aaj wagarna subh ka bhula to ghar chala jata mera makan meri ghaflat se bach gaya warna koi chura ke mere baam-o-dar chala jata agar main khidkiyan darwaze band kar leta to ghar ka bhed sar-e-rahguzar chala jata thakan bahut thi magar saya-e-shajar mein 'jamal' main baithta to mera ham-safar chala jata