zaban pe harf to inkar mein nahin aata ye marhala hi kabhi pyar mein nahin aata khulega un pe jo bainassutur padhte hain wo harf harf jo akhbar mein nahin aata samajhne wale yaqinan samajh hi lete hain hamara dard jo izhaar mein nahin aata ye khandan hamara bikhar gaya jab se maza hamein kisi tyauhaar mein nahin aata hamare haq mein to wo chand aur suraj hai bahut dinon se jo didar mein nahin aata kamal ye hai ki hum khwab dekhte hi nahin ki khwab dida-e-bedar mein nahin aata hamara sher samajhne ki kuchh to koshish kar ye kya nawishta-e-diwar mein nahin aata qalam ki kat to talwar se bhi badh kar hai magar shumar ye hathiyar mein nahin aata wo apna zauq badhaen agar maza un ko rauf 'khair' ke ashaar mein nahin aata