kisi bhi moD pe roka na gumrahi se mujhe

kisi bhi mod pe roka na gumrahi se mujhe
koi gila bhi nahin apni zindagi se mujhe

sabhon se milta hun begana-e-talab ho kar
na dosti se gharaz hai na dushmani se mujhe

safar se pahle zaruri hai muddaa-e-safar
pata chala ye sitaron ki kajrawi se mujhe

faqir-e-shahr to hun main gada-e-rah nahin
karam ki bhik na de aisi be-rukhi se mujhe

mere jilau mein chalega samundaron ka jalal
na rok paega koi shanawari se mujhe

rah-e-hayat mein kanton ne mehrban ho kar
bacha liya hai azab-e-shaguftagi se mujhe

kisi se mil ke bichhadne ki jab ghadi aai
ghadi se ho gai nafrat usi ghadi se mujhe

andheri raat mein dekha hai mashalon ka julus
dara diya hai siyasat ne raushni se mujhe

meri ana ne sabaq de ke khud-parasti ka
chhuda diya hai zamane ki bandagi se mujhe

fareb-khurda-e-tahrik-e-adamiyat hun
wafa ki aas nahin 'ramz' aadmi se mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close