kisi dard-mand ki hun sada kisi dil-jale ki pukar hun jo bigad gaya wo nasib hun jo ujad gai wo bahaar hun koi mujh pe phul chadhae kyun koi mujh pe shama jalae kyun koi mere pas bhi aae kyun ki main hasraton ka mazar hun bhala mujh pe dhaen to dhaen kya sitam ab zamane ki aandhiyan main bujha hua sa charagh hun main mita hua sa ghubar hun kahun kya hai kya meri zindagi ye hai zindagi koi zindagi wo hai dushman-e-dil-o-jaan mera dil-o-jaan se jis pe nisar hun shab-o-roz lab pe hai ai 'wafa' ye dua ki maut hi de khuda jo yahi hai mere nasib mein ki asir-e-dam-e-bala rahun