mere panw ke niche bhi zamin hai mujhe hijrat ka koi dukh nahin hai kabhi na-ashna tujhe sare raste magar har rasta ab dil-nashin hai kabhi sare hi mausam ajnabi the magar ab dil mein har mausam makin hai kabhi mera badan hi tha yahan par magar ab dil ki duniya bhi yahin hai kabhi har sham be-manzar yahan thi magar har sham ab behad hasin hai to kya main naqsh-e-mazi bhul baitha nahin aisa nahin aisa nahin hai hawaen dost ban jaen jahan par wahi 'ashfaq' dil ki sar-zamin hai