kisi dasht ka lab-e-khushk hun jo na pae muzhda-e-ab tak kabhi aae bhi meri samt ko to baras na pae sahab tak main talab ke dasht mein phir chuka to ye raaz mujh pe ayan hua meri tishnagi ke ye pher hain ki jo aab se hain sarab tak tujhe jaan kar ye pata chala tu maqam-e-did mein aur tha kai marhale hain fareb ke meri aankh se mere khwab tak main wo mani-e-gham-e-ishq hun jise harf harf likha gaya kabhi aansuon ki bayaz mein kabhi dil se le ke kitab tak