wasl ki shab bhi KHafa wo but-e-maghrur raha

wasl ki shab bhi khafa wo but-e-maghrur raha
hausla dil ka jo tha dil mein ba-dastur raha

umr-e-rafta ke talaf hone ka aaya to khayal
lekin ek dam ki talafi ka na maqdur raha

jama kis din na hue mausam-e-gul mein mai-kash
roz hangama tah-e-saya-e-angur raha

gardish-e-bakht kahan se hamein lai hai kahan
manzilon wadi-e-ghurbat se watan dur raha

rast-bazi kar agar namwari hai darkar
dar se khalq mein aawaz-e-mansur raha

wo to hai charkh chahaarum pe ye pach mohalle par
sach hai isa se bhi baala tera mazdur raha

fasl-e-gul aai gai sehn-e-chaman mein sau bar
apne sar mein tha jo sauda wo ba-dastur raha

jalwa-e-barq-e-tajalli nazar aaya na kabhi
muddaton ja ke wahan mein shajar-e-tur raha

zulf o rukh donon hain jaane se jawani ke kharab
mushk wo mushk na kafur wo kafur raha

ghol-e-sahra ne mera sath na chhoda shab bhar
le ke mashal kabhi nazdik kabhi dur raha

hum bhi maujud the kal mahfil-e-jaanan mein 'amir'
raat ko der talak aap ka mazkur raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close