lab par na shikwa-e-gham-e-ayyam aaega jab aaega zaban pe tera nam aaega jin ka khayal unhen sahar-o-sham aaega main jaanta hun un mein mera nam aaega us zulf-e-mushkbu ka jinhen mas nasib hai dil ko unhin fazaon mein aaram aaega baadal bhi qurmuzi hain sharaben bhi qurmuzi ab bhi agar na pi to phir ilzam aaega khurshid ko tulua mein kyon der ho gai kya aakhir-e-shab aur bhi ek jam aaega mujh ko yaqin hai gardish-e-saghar ke bawajud aksar khayal-e-gardish-e-ayyam aaega 'fitrat' ko hai siyasat-e-pir-e-mughan se kaam sarshaar ho chukunga to phir jam aayega