mohabbat kam-nigahon ko nazar mein la nahin sakti ye bijli har khas-o-khashak se takra nahin sakti jo kahna hai kaho haq par kabhi aanch aa nahin sakti koi taqat khulus-e-fikr ko jhutla nahin sakti gira kar arsh se bhi husn-e-be-parwa ne dekha hai koi aalam ho meri aadamiyyat ja nahin sakti matanat aa chuki hai un ke lahje un ki baaton mein wo chahen lakh chehre par matanat aa nahin sakti na samjho dost ki had tak kamal apni mohabbat ka abhi naqis hai dushman ko agar tadpa nahin sakti gira hun rabb-e-qibla jab bhi thokar main ne khai hai meri khuddari aisi waisi thokar kha nahin sakti kabhi tir-e-nigah-e-naz khali ja nahin sakta koi neki bhi aise waqt aade aa nahin sakti nasheman mera rahne do chaman par aanch gar aai nasheman hi pe aaegi chaman par aa nahin sakti haqaeq hi rahenge 'najm' meri fikr ka hasil khayal-o-khwab mein fikr-e-sukhan uljha nahin sakti