sulagna andar andar misra-e-tar sochte rahna badan par dal kar zakhmon ki chadar sochte rahna nahin kam jaan-gusil ye marhala bhi khud-shanasi ka ki apne hi maani lafz ban kar sochte rahna zaban se kuchh na kahna bawajud-e-tab-e-goyai khuli aankhon se bas manzar ba manzar sochte rahna kisi lamhe to khud se la-talluq bhi raho logo masail kam nahin phir zindagi bhar sochte rahna charagh-e-zindagi hai ya bisat-e-atish-e-rafta jala kar raushni dahliz-e-jaan par sochte rahna ajab shai hai 'faza' zehn o nazar ki ye asiri bhi musalsal dekhte rahna barabar sochte rahna