kisi gul mein nahin pane ki tu bu-e-wafa hargiz abas apna dil ai bulbul chaman mein mat laga hargiz tabibon se ilaj-e-ishq hota hai nipat mushkil hamare dard ki un se nahin hone ki dawa hargiz taja ghar ek aur sare bayaban ka hua waris koi majnun sa ayyara na hoga dusra hargiz bahaar aai hai kyunkar andaliben bagh mein jawen qafas ke dar ke tain karta nahin sayyaad wa hargiz na the aashiq kisi be-dad par hum jab talak 'taban' hamare dil ke tain kuchh dard-o-gham tab tak na tha hargiz