kisi hasrat-zada ne khud-kushi manzur ki dil se sada labbaik ki sun kar zamin-e-ku-e-qatil se khuda ke waste dam bhar to ai baad-e-ajal tham ja ki le lun kuchh hawa main daman-e-shamshir-e-qatil se thaharna o dil-e-betab phir tu bhi to sine mein nikal aae tadap kar mauj jab aaghosh-e-sahil se zamin se aasman tak meri betabi ka charcha hai sabaq leti hai bijli aa ke mere qalb-e-bismil se koi tadbir socho taki dil aa jae qabu mein kahin main qaid ho sakta hun in tauq-o-salasil se abhi dekho to meri mashq kis had tak pahunchti hai bana lunga kabhi tum ko bhi apna jazb-e-kaamil se gira tha qatra-e-awwal jo mere khun-e-nahaq se uthi thi surkh ek aandhi zamin-e-ku-e-qatil se wo ab aate hi honge aur yan par aa ke baithenge khudawanda ye baaten kab talak 'alim' kare dil se