lagta hai jis ka rukh-e-zeba mah-e-kaamil mujhe us ne hi samjha na lekin pyar ke qabil mujhe yun to meri dastaras mein kya nahin sab kuchh to hai jis ko chaha ho na paya bas wahi hasil mujhe aakhirash qatil ki aankhon mein bhi aansu aa gae dekha jab is ne tadapte surat-e-bismil mujhe manta hun bul-hawas bhi hote hain aashiq magar un gunahgaron mein kyun karta hai tu shamil mujhe ho gaya gharqab dariya phans ke main girdab mein fasle se dekhta hi rah gaya sahil mujhe kab ka kar-e-ishq mein 'ghazi' ka jiwan kat gaya kahne do kahte hain jo nakara-o-kaamil mujhe