kisi ke ru-e-gham-zada pe jab kabhi nazar gai ye mera dil tadap utha ya meri aankh bhar gai hamari umr-e-rafta kya malul kya shagufta kya bhali thi ya buri thi jo guzar gai guzar gai wafa ke ek mod par gaya tha koi chhod kar hayat jaise bas usi maqam par thahar gai kamal khadd-o-khal the siyah khamida baal the wo tamkanat ai sahib-e-jamal ab kidhar gai jo rah-rau hain kam-nazar safar bhi un ka kya safar wahi hai un ki had jahan tak un ki rahguzar gai bala ki sakht jaan thi zamin pe aasman thi wahi ye qaum hai adu ki sarzanish se mar gai ujad gaya tha gulsitan ba-dast-e-mausam-e-khizan so phir bahaar aa gai kali kali sanwar gai