main apna nam tere jism par likha dekhun dikhai dega abhi battiyan bujha dekhun phir us ko paun mera intizar karte hue phir us makan ka darwaza adh-khula dekhun ghataen aaen to ghar ghar ko dubta paun hawa chale to har ek ped ko gira dekhun kitab kholun to harfon mein khalbali mach jae qalam uthaun to kaghaz ko phailta dekhun utar phenkun badan se phati purani qamis badan qamis se badh kar kata-phata dekhun wahin kahin na padi ho tamanna jine ki phir ek bar unhin jangalon mein ja dekhun wo roz sham ko 'alwi' idhar se jati hai to kya main aaj use apne ghar bula dekhun