kisi ka sath miyan ji sada nahin raha hai magar dilon ko abhi sabr aa nahin raha hai yahi to hai jo khayalon se ja nahin raha hai ye aadmi jo mera phone utha nahin raha hai hamare bich koi ba-wafa nahin raha hai ye baat koi kisi ko bata nahin raha hai mere aziz meri ghibaton mein lag gae hain ki ab kisi ko koi mashghala nahin raha hai kahin use mera nemul-badal na mil gaya ho kai dinon se meri samt aa nahin raha hai ye chand faisla-kun saaten hain sab ke liye isi liye to koi muskura nahin raha hai sab apne apne katore liye khade hue hain kisi ke hath abhi kuchh bhi aa nahin raha hai tere gunah se parda zarur utthega abhi to khair koi bhi utha nahin raha hai jo rang mujh se mere naqidin chahte hain wo rang meri kahani mein aa nahin raha hai