mein ghash mein hun mujhe itna nahin hosh tasawwur hai tera ya tu ham-aghosh jo nalon ki kabhi wahshat ne thani pukara zabt bas khamosh khamosh kise ho imtiyaz-e-jalwa-e-yar hamein to aap hi apna nahin hosh utha rakkha hai ek tufan tu ne are qatre tera allah-re josh main aisi yaad ke qurban jaun kiya jis ne do-alam ko faramosh hai beganon se khali khalwat-e-raaz chale jaen na ab aaen mere hosh karo rindo gunah-e-mai-parasti ki saqi hai ata-pash o khata-posh tere jalwe ko musa dekhte kya naqab uthne se pahle ud gae hosh karam bhi us ka mujh par hai sitam bhi ki pahlu mein hai zalim aur ru-posh piyo to khum ke khum pi jao 'bedam' are mai-nosh ho tum ya bala-nosh