mere dard ki kahani tere jaur ka fasana hai lahu-tarang naghma ye nashat-gin tarana mere ham-jalis phulo mere ham-nawa anadil teri tahniyon pe kal tak tha mera gharib-khana main muqim-e-gulsitan hun mujhe jaante nahin ho abhi chaar din hue hain ki jala hai aashiyana tu sitam-nasib tair kahan jaega faza se ki mataa-e-baghban ab hai chaman ka aab-o-dana badi mushkilon se daulat ye lagi hai hath tujh ko kahin lut na jae pyare tera qimti khazana na to kaf hai khun mein tar na gawahiyan mayassar mere mehrban mubarak ye qital-e-mahirana kaho bijliyon se ja kar ki wo aaen zid se meri main rakhunga is chaman mein yahin apna aashiyana wo khizan ke roz-o-shab the jo bahaar se the behtar ki gharaz se be-gharaz tha 'sahar' apna dostana