wafa ki rah mein dushwariyan hain labon par ishq ki gulkariyan hain hazaron bandishen hain khwahishon pe jahan-e-dil ki bhi tayyariyan hain sabab us shakh-e-gul ke tutne ka hawa-e-tund ki makkariyan hain abhi tak ranj se farigh nahin dil abhi tak ishq mein gham-khwariyan hain milai aankh ja kar maut se tab tumhaare ghar mein ye kilkariyan hain khulus-e-dil hamara kam nahin hai tabiat mein magar khuddariyan hain rahi hai 'sahiba' to sadgi mein dilon ke khel mein ayyariyan hai