mithi hai aisi baat us ki laundi hai ek nabaat us ki samjha na main ek baat us ki mujh par kya kaenat us ki aalam hai be-sabaat ai dil ek zat ko hai sabaat us ki mah us ka hai aaftab us ka din us ka hai aur raat us ki kis munh se karun main wasf us ka hai aql se dur zat us ki mimber pe jo bak raha hai waiz kab sunta hun khair baat us ki hai daulat-e-husn pas tere deta nahin kyun zakat us ki hai jo ki shahid tegh-e-taslim hai misl-e-khizar hayat us ki dam de ke na naqd-e-dil ko le-le chal jae kahin na ghat us ki jo dil ki hai gharq bahr-e-duniya kyunkar hogi najat us ki dil jata hai su-e-ku-e-qatil khaliq rakhe hayat us ki dam de ke le aaya yar ko dil kya rah gai aaj baat us ki tanha nahin 'muntahi' kisi ja taqdir hai us ke sath us ki