kisi ke dukh se na kar sukh kashid tauba kar

kisi ke dukh se na kar sukh kashid tauba kar
ubhar na waqt ka ban kar yazid tauba kar

fasil-e-zat se bahar nikal ki ye duniya
tere bharam se hai mutlaq baid tauba kar

nigah-e-shauq ko jalwe se yun na rakh mahrum
hai shirk jurat-e-inkar-e-did tauba kar

ki nazm-e-mai-kada rindon ki tab la na sake
badha na tishnagi itni shadid tauba kar

jo nazm-o-nasr ka hai farq us ko qaem rakh
adab ki kar na yun mitti palid tauba kar

jahan-e-nau mein ajaib-gharon ki zinat hain
tamam ghazi tamami shahid tauba kar

najat ke liye mohlat bachi hai kam ab aur
na kar zamir ki baia-o-kharid tauba kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close