kisi ke husn-e-alam-tab ki tanwir ke sadqe kisi bad-bakht ki surat bhi pahchani nahin jati murawwat ki ada par band aankhen kar ke lut jaana ye nadani sahi lekin ye nadani nahin jati wahan dil le chala hai phir wahi ek baat kahne ko kahi jati hai jo aksar magar mani nahin jati khudawanda phir aakhir kya tamanna hai mere dil ki wo pahlu mein bhi hain lekin pareshani nahin jati kiya tha main ne shikwa aap ne aankhen jhuka li thin hui muddat magar ab tak pashemani nahin jati wahi hai apni rindi aur wahi waiz ki fahmaish buri aadat koi bhi ho ba-asani nahin jati