kisi ke husn-o-ada par jo tabsira kije

kisi ke husn-o-ada par jo tabsira kije
falak-asas iradon se ibtida kije

koi to had ho muqarrar sitamgari ki teri
agarche sabr jo kije bhi ta-kuja kije

qarar dil ka nihan hai isi mein jaananan
hamari samt bhi chashm-e-sitam zara kije

asir-e-panja-e-mizhgan hain jaane kab se hum
hamare dard jigar ka mu'alaja kije

mujhe khabar hai meri dastaras nahin us tak
magar use hi ye dil chahta hai kya kije

ye tut kar jo bikharne ki chah rakhta hai
kabhi to puri tamanna-e-aina kije

naya nahin hai dilon ka ye tutna 'arif'
main kah raha hun zara sa to hausla kije


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close