mar hi jae mabaada ajal na-samajh aaine se nikal zindagi ke masail ka hal waqt ke sath khud ko badal teri manzil abhi dur hai ai musafir zara tez chal yaad aai bhi us ki to kab murtaish hath hain panw shal thokaren to hain manzil-rasan khauf se raste mat badal aaj phir tu utha der se toast kha chae pi hath mal teri yaadon ki yalghaar hai jina dushwar hai aaj-kal kya adawat mein pas-e-adab kya mohabbat mein mauqa mahal chashm-e-nam dil ki ghammaz hai muskura kar na lahja badal sham hone ko hai munjamid mutriba chhed koi ghazal