kisi ke sae kisi ki taraf lapakte hue naha ke raushniyon mein lage bahakte hue ye rang rang ke paikar ye tez mausiqi har ek badan pe kai zakhm hain thirakte hue bahut se log the raqsan magar alaw ke gird kisi ko dekha nahin is tarah damakte hue ye haq-paraston ki basti ujad na jae kahin mujhe mile hain kai aaine sisakte hue ye kaun samne baitha hai khub-ru aisa malal hone lage aankh bhi jhapakte hue ab aise khauf ke sae mein khwab dekhen kya yahan to aankh bhi darne lagi jhapakte hue