sine mein liye jine ke arman hazaron mar jate hain har din yahan insan hazaron sab husn ko masum samajhte hain jahan mein aur ishq ke mathe pe hain bohtan hazaron har zakhm ne bakhshi hai jila mere junun ko qatil teri shamshir ke ehsan hazaron la-hasili aakhir ko hai har chiz ka hasil har nafa ke pahlu mein hain nuqsan hazaron ek zabt ki diwar sambhaale rahi mujh ko har chand uthe mujh mein bhi tufan hazaron kuchh baat to us shokh mein aisi hai yaqinan phirte hain hatheli pe liye jaan hazaron ai kash mere sher pe kahta koi 'rakhshan' qurban tere sher par diwan hazaron