kisi ke sath ab saya nahin hai koi bhi aadmi pura nahin hai mere andar jo andesha nahin hai to kya mera koi apna nahin hai koi patta kahin parda nahin hai to kya ab dasht mein dariya nahin hai to kya ab kuchh bhi dar-parda nahin hai ye jangal hai to kyun khatra nahin hai kahan jati hain barish ki duaen shajar par ek bhi patta nahin hai darakhton par sabhi phal hain salamat parinda kyun koi thahra nahin hai khula hai phul har gamle mein lekin koi chehra tar-o-taza nahin hai dhuan hi hai faqat gadi ke pichhe yahan kya ek bhi bachcha nahin hai samajhna hai to diwaron se samjho hamare shahr mein kya kya nahin hai