kisi ke sath gaya muddaten guzar aaya bade dinon mein kahin ja ke phir qarar aaya nahin hai khwab ye sach hai na e'tibar aaya ye kya hua ki unhen aur mujh pe pyar aaya gaya tha aankhon mein ummid ki kiran le kar main us ke shahr se lauta to ashk-bar aaya wo tha jahaz ka panchhi na main jahaz koi na kaam sabr hi aaya na intizar aaya faraaz-e-koh ka rasta bhi tha kada lekin 'khayal' kanp uthi ruh jab utar aaya