pyar karti hai magar phir bhi mukar sakti hai

pyar karti hai magar phir bhi mukar sakti hai
kya bharosa hai kisi aur pe mar sakti hai

kya samajhti ho ki bandha hai mujhe bandhan mein
ye anguthi hai meri jaan utar sakti hai

chhut sakti hai tere ganw ki mitti mujh se
ye qayamat bhi kisi roz guzar sakti hai

chand ne jhil ke bistar pe jo karwat badli
chandni tut ke pani mein bikhar sakti hai

hum ne bas pyar kiya nam likhe socha nahin
diary ped ki badnam bhi kar sakti hai

ahd-e-kam-fahm ki ujlat hai ishaara 'rahib'
raushni chaak pe zulmat ko bhi dhar sakti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close