mat puchh harf-e-dard ki tafsir kuchh bhi ho wo khwab la-jawab tha tabir kuchh bhi ho har naqsh ko mita ke guzarti rahi hawa lauh-e-jahan pe waqt ki tahrir kuchh bhi ho behtar nahin ki tujh ko mile kaghzi libas rangon ka imtizaj hai taswir kuchh bhi ho jab hukm ho gaya hai ki nala-ba-lab rahen phir wahm kya hai zahr ki tasir kuchh bhi ho mere liye zamin ka tasawwur hai aasman paband hun hawaon ka taqdir kuchh bhi ho maslak yahi tha shahr ki buniyaad rakh chale is se gharaz nahin hai ki tamir kuchh bhi ho chhaya hua hai arz-o-sama par mera shuur 'shahid' karenge zehn ki taskhir kuchh bhi ho