kisi ki aankh mein rahta kisi ke dil mein rah jata ghubar-e-gham-zada uthta to is mushkil mein rah jata liya hai gahe-gahe naqsh-e-pa-e-yar ka bosa na wo bahar nikalta ye bhi arman dil mein rah jata sabab se na-tawani ke na pahuncha ku-e-jaanan tak jo main ghar se nikalta pahli hi manzil mein rah jata zamana hath phailata hamiyyat tark kar deta adam ki rah mein gar kuchh kaf-e-sail mein rah jata hamesha main khadang-e-naz ko rakhta hun sine mein mere dil se nikalta dusre ke dil mein rah jata hamare khun-e-nahaq ki shahadat hashr mein deta agar dhabba lahu ka khanjar-e-qatil mein rah jata suna hai baad mere aqraba ki ghair haalat thi na meri maut aati main bhi is mushkil mein rah jata meri dariya-e-gham mein maut aa jati to ye hota bas ek tufan uth kar daman-e-sahil mein rah jata yaqin hai yun tadapta sare aalam ko khabar hoti agar dam nam ko baqi tere ghayal mein rah jata mila hai khak mein majnun suwarat sari mehnat thi koi zarra jo ud kar gosha-e-mahmil mein rah jata lagaya hath pura aur kaha jallad ne hans kar ye kyon arman ek baqi dil-e-bismil mein rah jata gaya main us ki sohbat mein khushi se maut aa jati bahut achchha tha mera zikr us mahfil mein rah jata yaqin hai baad mere phir kisi ka imtihan hota jo koi zulm baqi aasman ke dil mein rah jata ghash aaya us ko aisa hashr karta sare aalam mein jo kuchh bhi hosh baqi aap ke ghafil mein rah jata ayaadat ko tere ahbab gar kuchh bhi na aa pae 'shafiq' is baat ka arman tere dil mein rah jata