ye dagh-e-dil tere rukh ka jawab ho na saka charagh lakh jala aaftab ho na saka hazar bar zamane ne karwaten badlin meri wafa mein koi inqalab ho na saka kaho ki chhed ke chhaalon ko kya mila aakhir lahu mein dub ke kanta gulab ho na saka zamin pe jam bhi tute falak pe akhtar bhi shikast-e-shisha-e-dil ka jawab ho na saka maal-e-walwala-e-arz-e-shauq kya kahiye zaban kaisi nazar se khitab ho na saka harim-e-dost ki rifat are maaz-allah ba-juz khayal koi baryab ho na saka wo chashm-e-mast kuchh aisi jhuki jhuki si rahi ba-qadr-e-hausla koi kharab ho na saka nazar nazar mein sama kar rahe bahar-surat hijab kar na sake ya hijab ho na saka shafaq nikhar ke bhi teri harif ban na saki chaman sanwar ke bhi tera jawab ho na saka dam-e-widaa ye majburiyan mohabbat ki salam ka bhi kisi ke jawab ho na saka hazar husn-o-nazakat se shakh-e-gul lachki salam-e-naz ka tere jawab ho na saka