kuchh bhi jo asasa dar-o-diwar mein hota galiyon mein nahin ghar mera bazar mein hota matam hi alag shahr-e-azadar mein hota mujh sa jo kaleja kahin do-chaar mein hota phir shah ne bai'at hi talab ki nahin warna jo ran mein hua tha wahi darbar mein hota jis se main gala kat sakun apni ana ka ai kash wo loha meri talwar mein hota hota hi nahin zakhm jo bharne se ho qasir hota to mere halqa-e-azar mein hota ek murgh-e-tamanna lab-e-aghyar pe hoti ek harf dua ka dil-e-gham-khwar mein hota aankhon mein ujala lab-o-rukhsar mein khushbu ek dil bhi kahin sina-e-dildar mein hota