nae mani nae uslub likhna ghazal ko chand ka mahbub likhna shuur-e-zindagi anqa hai lekin safar ke zaiqe marghub likhna hamari fikr par kohre sajaana mataa-e-zehn ko maslub likhna jahan zulmat ke pahre har qadam hon hamare shahr se mansub likhna pilana zahr paimane badal kar darun-e-mai-kada mashrub likhna tum apne ru-ba-ru aaina rakh ke kisi hamsae ko majzub likhna tera lahja hai 'nashtar' ehtajaji paron par titliyon ke khub likhna