kisi ki be-rukhi ka gham nahin hai ki itna rabt bhi ab kam nahin hai na hoshyari na ghaflat aur na masti hamara ab koi aalam nahin hai rag-e-jaan se bhi wo nazdik-tar hain magar ye fasla bhi kam nahin hai yahan kya zikr sharm o aabru ka ye daur-e-azmat-e-maryam nahin hai fughan ek mashghala hai aashiqon ka ye aadat bar-bina-e-gham nahin hai farishton ki ye shan-e-be-gunahi jawab-e-laghzish-e-adam nahin hai